Tumhara kabza ganga jal par
Aur mere liye kuan bhi
nahi!
Tumhare ghar ki aurat devi
Aur mere liye ek dua bhi
nahi!
Tum rakhte ho unko bhi
dhokhe mein
Rajkumari ka libaas
pehanakar
Aur hum par se insani khaal
tak utaarkar!
Lekin hum sab jaan chuke
hain
Kaise tumne baantaa hai,
Apna rajya chalane ke
khatir
Apni baat manvane ke khatir
Ab koi nayi baat nikalo
Ye sab tark purane hain
Karenge bahas barabar se
hum
Bahut ho gai manmaani
Ab thoda sambhal bhi jao
tum.
No comments:
Post a Comment