Meri pavitrata kasauti par
Mera gyaan kasauti par
Main tumhare ghar ki
chaukhat se baahar
Mujhko chhoone se tumko
shuddhi hawan karane honge
Tum ho samaj chalane wale
Aur main kul samaj ki daasi
Ye kaisa achha bhram hai
chalaya
Jisko koi tod na paya
Lekin ab main awaz uthaungi
Apne kaano ko phir se,
aadat dalwalo sunne ki
Aur thoda khud ko bhi
badalo
Warna aage na badh paoge
Phir na kehna aagaah kiya
nahi
Aur tum reh gaye jahan the
wahi
Chhodo ye jaat-paat,
ling-bhed ka bojh
Milkar kadam badhate hain
Ab ek naye samaj ka chitra
banate hain.
No comments:
Post a Comment