Sunday, September 30, 2012

Bhram

Meri pavitrata kasauti par
Mera gyaan kasauti par
Main tumhare ghar ki chaukhat se baahar
Mujhko chhoone se tumko shuddhi hawan karane honge
Tum ho samaj chalane wale
Aur main kul samaj ki daasi
Ye kaisa achha bhram hai chalaya
Jisko koi tod na paya
Lekin ab main awaz uthaungi
Apne kaano ko phir se, aadat dalwalo sunne ki
Aur thoda khud ko bhi badalo
Warna aage na badh paoge
Phir na kehna aagaah kiya nahi
Aur tum reh gaye jahan the wahi
Chhodo ye jaat-paat, ling-bhed ka bojh
Milkar kadam badhate hain
Ab ek naye samaj ka chitra banate hain.

Kaisa Dhokha

Tumhara kabza ganga jal par
Aur mere liye kuan bhi nahi!
Tumhare ghar ki aurat devi
Aur mere liye ek dua bhi nahi!
Tum rakhte ho unko bhi dhokhe mein
Rajkumari ka libaas pehanakar
Aur hum par se insani khaal tak utaarkar!
Lekin hum sab jaan chuke hain
Kaise tumne baantaa hai,
Apna rajya chalane ke khatir
Apni baat manvane ke khatir
Ab koi nayi baat nikalo
Ye sab tark purane hain
Karenge bahas barabar se hum
Bahut ho gai manmaani
Ab thoda sambhal bhi jao tum.

Tumhari Ghutan

Lo ye hawa chhoo gai tumko
Jo mujhko chhoo kar aayi thi
Ab kya hoga, kaise rukegi ye hawa
Kaise yahan tum saansein loge
Jahan main bhi saansein leti hoon
Baadal ko tum kaise rokoge
Jo mere yahan se pani lekar
Tum par ja barsa hai
Arre tum to ghut hi jaoge
Ab khud ko kahan tak bachaoge
Tumse nahi maangti main koi aashvasan
Main to khud mein poori hoon
Mere hone mein to shamil hain
dharti, gagan, sitare, bayaar
Tum inse bas bachte rehna
Ye sab mere aangan se hokar jaate hain.


Mera Astitva

Mere astitva par kabza sabka
Mera koi zor nahi
Mujhko jo chaha wo samjha
Kulta, uddhat, paapin
Khud se aankh milaakar dekho
Apne pratibimb se dar jaoge
Meri chhaya se kya darna
Main to bagal se nikal jaungi
Tumko to khud se hai bachna
Zeharila man mastishk tumhara
Tumko hi na das jaye.

Sapno Par Haq

Sapno par mera bhi haq hai
Lekin mere sapne kyun sabse peechhe
Jab jab maine sapno mein rang bharna chaha
Mujhko sada upahaas mila, chheetakashi ki mujhpar,
Mere pair ukhaadne chahe,
Main naari wo bhi nimn jaat
Mera hona na hona samjha
Ab tumko lagta hai mujhse khatara
Jab main apna sheersh uthati hu
Tum kitne kayar aur buzdil
Jhootha mahattva banate ho
Daya a rahi hai tum par
Zara hawa rukh badle to
Kaise seham se jate ho
Ki mukut tumhara jhooth se jadaa
Koi aandhi na uda le jaye
Hum bhi dekhein kab tak tum
Ye jhoothi shaan pehan paate ho
Sapne to hum dekhenge hi
Aur dekhna hai ab tum kya hathiyar apnate ho.